Assalamualaikum warah matullahi barakatuhu ! --------------------- Nabi - Yani Joh Allah Key Paigham Koh Laate Hai, Aur Ummat Tak Allah ke Kalam Koh Pohchate hai, Her Nabi Tasdeeq Karega Rasool ki. Rasool - Yani Joh Allah key WAHIY Aur Madad Sey Deen Koh Nafis Karey, Aur ager Is Deen Mey Koi Bigaar Ho Toh 'Nabi' Koh Sudhaarey. --------------------- Nabi Aur Rasool Mey Faraq: Nabi (Shariyat Koh Nafis Nahi Karta, Balke Nafis Kiye Huwe Shariyat ki Hifazat Karta Hai) Rasool (Per Shariyat Nafis Hoti hai, Aur Her Nabi Rasool Ki Tasdeeq Karta Hai) Maqam mey: Sabse Pehle RASOOL hai (Rasool Imam Hote hai) Doosra NABI hai (Nabi Jubzi Imam Hotel hai) Teesra WILAYAT hai (Yaha Imamat hai, Lekin Ata per) Chawtha AHLEH FIQR ka (Yeh Log Merifat ke Baghair Usper fiqer Karte hai) Panchwa AHLEH ZIKAR hai (Yeh Log Marifat ke Baghair Zikar Karte hai) Chata hai ZAKIR E QALBI hai (Yeh Maqam Ala logo ka, Joh Ghaib Se Talluq Rakhte hai)
Assalamu alaikum ! Musalman - Joh Kalima e Shahadat Padhta Hai Dill sey, Aur Zaban Sey- Zahiran MUSLIM Hojata hai. Phir Jab Faraiz ki Pabandi Ho Toh - Zahiri or Failo Taur per Muslim Hojata hai. Phir Jab Woh Islam Sey Emotionally Attached Hojata Hai Toh Woh Ek "Muslim" (true Muslim) ban Jaata hai. >>> Muslim Banne Ke Ba'ad Namaz ki Pabandi, Rozey ki Pabandi, Aur Zakat o Hajj Ke Hqum Ki Pairvi Zaroori hai, Farz hai. Joh Log Amal Sey yeh 5 Kam Nahi Karte Woh Amali Kafir Hai.
Comments
Post a Comment